Wednesday, July 18, 2007

Meri Kahani Meri Jubani

Ye lines mere pyar ke liye.....

Mere Pyaar

Likh liya hai maine naam tumhara apne dil main
Aur mera wada hai ye na mitega kabhi
Yaden bhale hi dundhli ho jaaye
Per taza rahega pyaar hamesha is dil main.

Har pal mera dil tumhare liye dhadhkata hai
tab tumse pyar aur har pal badh jaata hai
har pal jo main bitata hun tumhare saath
keemti hai mere liye meri jindgi se jyada

Main jaanta hun ki tum bhi pyar karti ho mujse
ki jab aansoon girte hai tumhare dhadkan ruk jati hai hamari
ki tumhari muskurahat meri muskurahat ki wajah hoti hai
ki tumhara hone ka ahsaas sabse pyara hota hai

Main jab bhi aaina dekhta hun kuch alag dikhai deta hun
jab tum mere dil main ho to mujhe sab khoobsoorat lagta hai
tumne mere dil ko chua hai kuch is tarah
ki tumhari saansen meri saanson main ghul gayi hain

Main tumhen bas jyada nahin apna pyar apni jindgi de sakta hun
Khuda se yahi mangoonga ki tumhen kabhi rota na dekhun
tumhen sab wo mile jo tumhen khushi de
jo main nahin de sakoonga

Bas aaj mujhe phir kahne do
Main tumse pyaar karta hun
Sari duniya ho tum Mere liye
aur main pyar karta rahoonga
Hamesha hamesha................

Tumhara Pyaar


Anuj

No comments: